jab ghar se wo baad-e-mah nikle munh se mere kyun na aah nikle dil wo hai ki jis se chah nikle munh wo hai ki jis se aah nikle zindan ki to apne sair tu kar shayad koi be-gunah nikle 'mani' se khinchi na khat ki taswir lakhon waraq siyah nikle khajlat ye hui ki mahkme se sharminda mere gawah nikle raste masdud ho gae hain ab dekhiye kyunke rah nikle palken nahin chhodtin ki ek dam aankhon se teri nigah nikle ai aah tu le to chal alam ko ta aansuon ki sipah nikle nikla main gali se us ki is tarah jaise koi dad-khwah nikle wo sokhta main nahin ki jis ki turbat se gil o gayah nikle sher apne jo 'mushafi' padhun main munh se tere wah wah nikle