sarw-e-gulshan par sukhan us qad ka baala ho gaya har nihaal is sharm sin jangal ka pala ho gaya aawta hai ye baha ho aankh sen daman talak tifl-e-ashk is aaj-kal mein kya jwala ho gaya jab sin us almas ki pahunchi ka hai aansu mein aks tab sin har tar-e-falak hiron ka mala ho gaya dil jigar ki phakadiyan aahon ke taron mein piro baith kar dokan-e-gham par phul wala ho gaya ashk-e-baran aah bijli ashk ki kali ghata mah-ru ban kis tarah ka barshgala ho gaya bagh mein sarma tha aur thi yaad-e-dildar-e-do-rang mujh kun har barg-e-gul-e-rana doshaala ho gaya nind sin khul gain meri aankhen so dekha yar kun ya andhaara is qadar tha ya ujala ho gaya hijr ki math mein tasawwur us ghazali chashm ka ishq ke bairagiyon ko mirg-chhaala ho gaya bhar raha hai bas ki dud-e-ah mera ai 'siraj' aasman jiyun parda-e-fanus kala ho gaya