jab haq dil-o-dimagh mein bharpur rach gaya mere qadam jahan pade kohram mach gaya har bar us se quwwat-e-izhaar chhin gaya jab bhi main us ki bazm mein le kar pahunch gaya main ne to apne dar pe likhaya tha apna nam lekin koi padosi use bhi khurach gaya dariya ki tah chatan ki zad ko bhi sah gai lekin ye kya ki sath pe ek shor mach gaya kal raat un gharibon ko qai kyun na aa saki khana amir-e-shahr ka kyun un ko pach gaya 'aslam' karamaton mein karunga shumar agar mera khulus tohmat-e-yaran se bach gaya