jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag pada to khwab hua meri soch khizan ki shakh bani tera chehra aur gulab hua barfili rut ki tez hawa kyun jhil mein kankar phenk gai ek aankh ki nind haram hui ek chand ka aks kharab hua tere hijr mein zehn pighalta tha tere qurb mein aankhen jalti hain tujhe khona ek qayamat tha tera milna aur azab hua bhare shahr mein ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyan dhundti hain kisi subh usi ki dhup khili kisi raat wahi mahtab hua badi umr ke baad in aankhon mein koi abr utra teri yaadon ka mere dil ki zamin aabaad hui mere gham ka nagar shadab hua kabhi wasl mein 'mohsin' dil tuta kabhi hijr ki rut ne laj rakhi kisi jism mein aankhen kho baithe koi chehra khuli kitab hua