dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya main faqat khushbu se us ki taza-dam sa ho gaya us ke hone se hua paida khayal-e-jaan-faza jaise ek murda zamin mein bagh paida ho gaya phir hawa-e-ishq se aashuftagi khuban mein hai in dinon mein husn bhi aazar jaisa ho gaya hai kahin mahsur shayad wo haqiqat ahd ki jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya gham raha hai haal kahna dil ka us but se 'munir' jis ke gham mein apne dil ka haal aisa ho gaya