jab hui KHak to iksir hui hai baba

jab hui khak to iksir hui hai baba
aarzu mitne se tasir hui hai baba

dagh hain qalb-o-jigar chhut gae arbab-e-wafa
zindagi ab mujhe tazir hui hai baba

dard hi chaaragar aur dard hi darman nikla
dard hi dard ki tadbir hui hai baba

koi batla na saka talib-o-mtlub ka farq
yun tariqat ki bhi tabir hui hai baba

karbala dhup hai to pyas hai dariya-e-furaat
ek sadaqat yunhi tahrir hui hai baba

khak par sajda ho qatil ki chhuri shah-rag par
har sada nara-e-takbir hui hai baba

nok neza pe koi bolta quran bhi tha
is tarah se kabhi tafsir hui hai baba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close