jab insan ko apna kuchh idrak hua sara aalam us ki nazar mein khak hua is mahfil mein main bhi kya bebak hua aib o hunar ka sara parda chaak hua us ki gali se shayad ho kar aaya hai baad-e-saba ka jhonka jo saffak hua zabt-e-mohabbat ki pabandi khatm hui shauq-e-badan ka sara qissa pak hua us basti se apna rishta-e-jaan 'manzar' aate jate mausam ki poshak hua