nigahen nichi rakhte hain bulandi ke nishan wale utha kar sar nahin chalte zamin par aasman wale taqayyud habs ka aazadiyan dil ki nahin khota qafas ko bhi bana lete hain gulshan aashiyan wale nahin hai rahbari-e-manzil-e-irfan-e-dil aasan bhatak jate hain akasr raste se karwan wale zamin ki inkisari bhi bada eajaz rakhti hai jabin-sa ho gae khushki pe bahr-e-be-karan wale kisi din garm bazar-e-aqidat ho to jaane do lagaenge mere sajdon ki qimat aasman wale ajal kahte hain jis ko nam hai kamzor hi dil ka use khatir mein kyun laen hayat-e-jawidan wale hamein 'turfa' ki lai se kyun na ho irfan-e-dil hasil subuk naghme sunate hi nahin saz-e-garan wale