jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae hum hath badhaen aur is mein mahtab gul-e-tar ho jae kab dil ka ladakpan jaega har waqt yahi hai zid us ki jo mange usi pal mil jae jo soche wahin par ho jae ek aalam-e-jaan wo hota hai takhsis nahin jis mein koi is waqt hamari banhon mein jo aae wo dilbar ho jae aashob-e-mohabbat ka aansu rakhta hai talawwun fitrat mein aankhon mein rahe to qatra hai tapke to samundar ho jae jitna bhi sameten aankhon mein rahta hi nahin kuchh yaad hamein yarab wo tilism-e-ariz-o-lab ek roz to azbar ho jae 'jamshed' mata-e-husn jahan sab ahl-e-nazar ka hissa hai jo chahe qalandar ho jae jo chahe sikandar ho jae