kya tumhein yaad hai insan hua karte the ye bayaban kabhi gunjaan hua karte the waqt tham jata tha dhadkan ki sada sunte hue jab tere aane ke imkan hua karte the sans ruk jati thi lahje mein kasak hoti thi jis samay kuch ke elan hua karte the nama-bar aata tha raste bhi take jate the kya jawan waqt tha ruman hua karte the jaane walon ko kabhi lautna hota hi na tha multawi tab bhi yun paiman hua karte the chashm-o-abru shab-e-mahtab jamal-e-saqi kya tamanna bhare unwan hua karte the bahr-e-atish mein rawan shauq ki naw rahti ishq dushwar tha bohran hua karte the dil jale kucha-e-jaanan ke fusun-zinon par abr aata tha to mehman hua karte the sang sah lete the sahra mein nikal jate the qais us waqt ke nadan hua karte the ye guman tha ki sawalon ke jawab aaenge hum the fahham so arman hua karte the waqt guzrega to haalat sudhar jaenge waqt ke qahr se anjaan hua karte the un dinon chand pe ek budhiya raha karti thi tifl kya sada the hairan hua karte the log jab taish mein aate the to chhup jate the kya ajab tund wo haijaan hua karte the kan sun lete the jazbon ki zaban ko aksar fasle the magar aasan hua karte the yaad-e-ayyam badi talkh zamin hai 'asim' is zamin mein kabhi diwan hua karte the