jab jab rafaqaton se guzarna pada mujhe pur-khar wadiyon mein utarna pada mujhe ahd-e-taghayyuraat mein jine ke nam par apni riwayaton se mukarna pada mujhe dariya ke shor-o-shar se mein khaif na tha magar sahil ke intishaar se darna pada mujhe bachpan ke sab nuqush nigahon mein phir gae kuchh din jo apne ganw thaharna pada mujhe ek lamha-e-hayat ki tazin ke liye sadiyon simat simat ke bikharna pada mujhe us manzil-fareb se guzra hun main jahan apna bhi e'tibar na karna pada mujhe