jahan mein hai har ek ek na ek ada ke liye koi wafa ke liye hai koi jafa ke liye hai ek ghunt bahut shaikh-e-parsa ke liye gilas bhar ke na do mai-kasho khuda ke liye hamare dard ko be-dard dard jaane kya ye dard wo hai ki hai dard-ashna ke liye kahin tumhin ko tumhaari nazar na ho jae na dekho aaina ai jaan-e-man khuda ke liye falak ko tod ke arsh-e-barin hila dena hai sahl kaam mere nala-e-rasa ke liye zahe-nasib ki apne wafa-shiaron mein mujhi ko chun liya us shokh ne jafa ke liye hadaf banaega dil ko mere jigar ko bhi teri nigah ka paikan nahin khata ke liye falak se hoti hain nazil balaen ban ban kar kabhi jo hath uthata hun main khuda ke liye jahan mein koi is se juda nahin ai dil khata bashar ke liye hai bashar khata ke liye agar hai sar tere khanjar ke waste ai tark to hai jigar bhi mera nawak-e-ada ke liye mila usi ko maza zindagi ka ai 'sabir' jo mar-mita hai kisi shokh-e-parsa ke liye