jab jab us ko yar manana padta hai surkh labaada odh ke jaana padta hai tum meri sochon par qabza rakhte ho tum se mujh ko ishq nibhana padhta hai hum jaison ko wahshat tab apnati hai ek chaukhat pe shish jhukana padta hai wo jab phul se wajd mein ja takraati hai phir gulshan ko hosh mein lana padhta hai us ladki ke 'sajid' 'sajid' kahne par ab collage bhi waqt pe jaana padta hai