ruh ka karb hai jine ki saza hone ko

ruh ka karb hai jine ki saza hone ko
hum bhi hain teri tarah khud se juda hone ko

lakh ho nashtar-e-gham sina-kusha hone ko
mera daman nahin phulon ki qaba hone ko

zauq-e-parwaz sanwarta hai giraftari se
hum tah-e-dam nahin aae riha hone ko

aap qail hon jafa ke to yahi kya kam hai
kaun kahta hai pashiman-e-jafa hone ko

talkhi-e-kaam-o-dahan aa gai dil tak saqi
der kitni hai dar-e-mai-kada wa hone ko

maslak-e-dida-waran ahl-e-hawas kya jaanen
na-rasi kahte hain manzil pe rasa hone ko

kis qadar garm hai bazar-e-siyasat-kari
der lagti nahin hangama bapa hone ko

husn ghafil nahin arbab-e-wafa se lekin
koi to baat ho shayan-e-jafa hone ko

hil na jae kahin buniyaad zamin-e-dil ki
gham ka tufan hai ab had se siwa hone ko

khafagi bhi teri az-rah-e-inayat hai magar
log kya samjhenge is tarah khafa hone ko

muddaton baad to khwab-e-shab-e-ishrat tuta
waqt darkar hai ab hosh baja hone ko

'shauq' zanjir-e-anasir mujhe kya rokegi
hukm ki der hai zindan se riha hone ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close