jab josh-e-bahaaran tha un chandni raaton mein

jab josh-e-bahaaran tha un chandni raaton mein
har zarra gulistan tha un chandni raaton mein

jab apni adaon se ek zohra-jabin paikar
ghaarat-gar-e-iman tha un chandni raaton mein

jannat thi bahut dilkash shadab nazaron ki
har lamha rag-e-jaan tha un chandni raaton mein

jab sarw ki saf ka wo mehrab-numa saya
taswir-e-shabistan tha un chandni raaton mein

jab phul sa wo chehra us jaan-e-bahaaran ka
taqdis ka unwan tha un chandni raaton mein

jab waqt damakti si shakhon pe sanobar ki
ek dida-e-hairan tha un chandni raaton mein

bhigi hui aankhon ka mauhum ishaara bhi
ek khuld-badaman tha un chandni raaton mein

eajaz-e-mohabbat tha allah ki rahmat thi
qismat pe main nazan tha un chandni raaton mein

muddat se nahin dekha us husn-e-gulabi ko
shair ka jo mehman tha un chandni raaton mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close