ye sannata to dam tode har ek aawaz aane do na kuchh aae to aawaz-e-shikast-e-saz aane do sada-e-naghma-e-gul hai ba-sad-andaz aane do faza-e-khema-e-jaan mein chaman ka raaz aane do ye tair unghte rahte hain baithe sabz gumbad par agar chug len kahin se himmat-e-parwaz aane do wo dar jo band tha sadiyon se habs-e-dam ke maron par wahi dar han wahi dar ab hua hai baz aane do shararat hi sahi chhedin to us ne ambarin zulfen masham-e-shauq se milne hawa-e-naz aane do