jab judai ka maza jata raha aashnai ka maza jata raha lutf-e-wasl un ki haya ne kho diya hatha-pai ka maza jata raha jabr par karte hain wo takid-e-sabr ab duhai ka maza jata raha qatra-e-mai aab-e-zamzam mein nahin is thandai ka maza jata raha sang-e-aswad ban gaya wo sang-e-dar jabha-sai ka maza jata raha sidhi sidhi galiyan din aap ne kaj-adai ka maza jata raha roti hai makhluq mere haal par jag-hansai ka maza jata raha kho diya hai lan-tarani ne tumhein khud-numai ka maza jata raha kah raha hai zakhm tere be-namak munh-bharai ka maza jata raha gul nahin sunta fughan-e-andalib khush-nawai ka maza jata raha wo dilasa de rahe hain ghair ko dilrubai ka maza jata raha mit gaya naqsh-e-qadam us chaal par rahnumai ka maza jata raha munh lagi hai jab se 'rasikh' dukht-e-raz parsai ka maza jata raha