jafa kar ke wo pachhtaya sitam tuta ghazab aaya sitam tuta ghazab aaya sitam tuta ghazab aaya junun bhi hai ilahi bekasi bhi hai mohabbat mein kahin main hun kahin saya sitam tuta ghazab aaya qayamat dhai mujh par hashr toda us sitamgar ne adu ko qabr par laya sitam tuta ghazab aaya kaha main ne ki tum par tut kar aaya hai dil mera unhon ne hans ke farmaya sitam tuta ghazab aaya shab-e-hijran ke nale se falak hain tutne wale hila hai arsh ka paya sitam tuta ghazab aaya kiya munh jab kaleje ki taraf sufar ne qatil dil-e-betab chillaya sitam tuta ghazab aaya namak wo bharte bharte mere zakhmon mein hue barham kaha jab main ne bhar paya sitam tuta ghazab aaya nasihat-gar se kah do chup rahe gar jaan pyari hai agar 'rasikh' ko samjhaya sitam tuta ghazab aaya