jab junun se hamein tawassul tha apni zanjir-e-pa hi ka ghul tha bistara tha chaman mein jon bulbul nala sarmaya-e-tawakkul tha yak nigah ko wafa na ki goya mausam-e-gul safir-e-bulbul tha un ne pahchan kar hamein mara munh na karna idhar tajahul tha shahr mein jo nazar pada us ka kushta-e-naz ya taghaful tha ab to dil ko na tab hai na qarar yaad-e-ayyam jab tahammul tha ja phansa dam-e-zulf mein aakhir dil nihayat hi be-tammul tha yun gai qad ke kham hue jaise umr ek rahraw sar-e-pul tha khub daryaft jo kiya hum ne waqt-e-khush 'mir' nikhat-e-gul tha