khada na sun ke sada meri ek yar raha main rah-rawan-e-adam ko bahut pukar raha qafas se chhode hai ab mujh ko kya tu ai sayyaad chaman ke bich kahan mausam-e-bahaar raha pas-az-wafat bhi apni huin na aankhen band zi-bas ki tere hi aane ka intizar raha khuda ke waste ab is se hath utha ki mere jigar mein nam nahin ai chashm-e-ashk-bar raha hua tu ghair se jab ham-kanar mere sath kahan wo wada raha aur kahan qarar raha karun jo chaak gareban ko apne hun majbur ki mere hath mein mera na ikhtiyar raha na sair-e-lala-o-gul hum ko kuchh nazar aai ki nok-e-har-mizha par yan dil-figar raha gali mein us ki gae aur wahan se phir aae tamam umr yahi apna karobar raha ghazal ek aur bhi ai 'mushafi' suna de tu koi kahe na ki banda ummid-war raha