jab kabhi band kare mutthiyan bahar nikle sab ke hathon mein wahi dhup ke manzar nikle sab ki aankhon mein phanse the wahi pathrae se khwab sab ke sab log tamannaon ke aazar nikle hai kharabi isi tamir mein muzmar teri mor khush-fahm na itra ki tere par nikle khak hi kar de mujhe garm-nigahi us ki ek arman to tera dil-e-muztar nikle ruh ko kar gae raushan had-e-idrak talak zakhm mere meri ummid se badh kar nikle yun bhi sach hai ki har ek gam pe ek manzil thi phir bhi gum-karda teri rah mein aksar nikle kin fusun-zad jahanon ka safar tha 'wasfi' hum samajh baithe jinhen dasht samundar nikle