manzar manzar qarya qarya the tum bhi khak-nazhado phul sitara the tum bhi ab shahr-e-sad-jabr mein sakit hum thahre ahd-e-tahayyur mein na-rafta the tum bhi main sadiyon ki aaraish karne wala mere masai ke parwarda the tum bhi jitne mausam bit gae sab mujh se the har mausam ka wasf shagufta the tum bhi yun bhi meri chahat ko kab rah mili zarf-e-tamanna se hi ziyaada the tum bhi main bhi apni zat mein tha aafaq-asar apne aap mein be-andaza the tum bhi hum donon mil kar hi ek ikai the shahr-e-ana tha main darwaza the tum bhi