jab kabhi bhulne walon ka salam aata hai karwan umr-e-gurezan ka thahar jata hai teri yaadon ke diye karta hun raushan shab ko tab kahin ja ke dil-e-zar sukun pata hai dair ye hai wo haram hai wo sanam-khana hai dekhna hai dil-e-diwana kidhar jata hai un se kya kijiye begana-washi ka shikwa waqt ke sath har insan badal jata hai tum nahin hote to dil rutha hua rahta hai tum jo aate ho to diwana bahal jata hai aah us waqfa-e-fursat pe dil-o-jaan nisar aap ka dhyan jab aata hi chala jata hai tark-e-waraftagi-e-shauq ke ba-wasf hanuz chand se zohra jamalon ka salam aata hai tu ne tadbir-e-mudawa na ki lekin ye na bhul baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai imtiyaz-e-man-o-tu jab nahin rahta hai 'jalil' waqt aisa bhi mohabbat mein zarur aata hai