pak gai hain aadaten baaton se sar hongi nahin koi hangama karo aise guzar hogi nahin in thithurti ungliyon ko is lapat par senk lo dhup ab ghar ki kisi diwar par hogi nahin bund tapki thi magar wo bundon barish aur hai aisi barish ki kabhi un ko khabar hogi nahin aaj mera sath do waise mujhe malum hai pattharon mein chikh hargiz kargar hogi nahin aap ke tukdon ke tukde kar diye jaenge par aap ki tazim mein koi kasar hogi nahin sirf shair dekhta hai qahqahon ki asliyat har kisi ke pas to aisi nazar hogi nahin