jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun main haqiqat mein sitaron ki taraf dekhta hun dubta hun to mujhe hath kai milte hain kitni hasrat se kinaron ki taraf dekhta hun chadaren un ko mayassar hain magar mujh ko nahin main to sardi mein mazaron ki taraf dekhta hun kyon rawani liye aaya hai yahan par dariya fikr hoti hai sawaron ki taraf dekhta hun ab mere ghar se kahan chand dikhai dega main ye hasrat liye taron ki taraf dekhta hun han musibat koi aa jae achanak mujh par to kahin bhi nahin yaron ki taraf dekhta hun