jab kabhi phulon ne khushbu ki tijarat ki hai patti patti ne hawaon se shikayat ki hai yun laga jaise koi itr faza mein ghul jae jab kisi bachche ne quran ki tilawat ki hai ja-namazon ki tarah nur mein ujlai sahar raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai sar uthae thin bahut surkh hawa mein phir bhi hum ne palkon ke charaghon ki hifazat ki hai mujhe tufan-e-hawadis se darane walo hadson ne to mere hath pe baiat ki hai aaj ek dana-e-gandum ke bhi haqdar nahin hum ne sadiyon inhin kheton pe hukumat ki hai ye zaruri tha ki hum dekhte qilon ke jalal umr bhar hum ne mazaron ki ziyarat ki hai