tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se hasinon se raqibon se ghamon se gham-gusaron se unhen main chhin kar laya hun kitne dawedaron se shafaq se chandni raaton se phulon se sitaron se sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai pahadon se guphaon se bayabanon se ghaaron se hamare dagh-e-dil zakhm-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukhon se mah-washon se mah-paron se kabhi hota nahin mahsus wo yun qatl karte hain nigahon se kanakhiyon se adaon se ishaaron se hamesha ek pyasi ruh ki aawaz aati hai kuon se panghaton se naddiyon se aabshaaron se na aae par na aae wo unhen kya kya khabar bheji lifafon se khaton se dukh bhare parchon se taron se zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin umidon se bharoson se dilason se sahaaron se wo din bhi hae kya din the jab apna bhi talluq tha dashahre se diwali se basanton se bahaaron se kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge munajaton se fariyaadon se chikhon se pukaron se