jab kabhi shor-e-jahan hota hai mere hone ka guman hota hai jabr hai mujh pe nizam-e-fitrat mujh pe har lamha giran hota hai subah hoti nahin pahle jaisi shab-giraftar saman hota hai dhund mein khote hain manzar sare pech dar pech dhuan hota hai sham ta-subh charaghan kar ke dasht mein nauha-e-jaan hota hai waqt phailata hai daman apna aag ka dariya rawan hota hai mujh ko aazad kar ai danish-e-nau dil giraftar-e-butan hota hai