bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujh ko liye phirti rahi har ja ye meri bekasi mujh ko chhupae se nahin chhupti haqiqat khul hi jati hai sar-e-bazar le aai meri diwangi mujh ko khabar kya thi yahi ek din qayamat mujh pe dhaegi pasand aai thi bachpan mein teri ye sadgi mujh ko nigah-e-naz ne un ki mujhe ek armughan bakhsha mila darbar-e-ulfat se shuur-e-zindagi mujh ko dil-o-jaan-o-jigar qurban main ne kar diye sare rulati hi rahi akasr teri beganagi mujh ko 'jalali' jada-e-ulfat mein jab se hai qadam rakkha rahi un ke tasawwur mein hamesha bekali mujh ko