jab kabhi un ki tawajjoh mein kami pai gai az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gai bik gae jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar zindagani baada o saghar se bahlai gai ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waste kin bahanon se tabiat rah par lai gai hum karen tark-e-wafa achchha chalo yun hi sahi aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gai kaise kaise chashm o aariz gard-e-gham se bujh gae kaise kaise paikaron ki shan-e-zebai gai dil ki dhadkan mein tawazun aa chala hai khair ho meri nazren bujh gain ya teri ranai gai un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai jurat-e-insan pe go tadib ke pahre rahe fitrat-e-insan ko kab zanjir pahnai gai arsa-e-hasti mein ab tesha-zanon ka daur hai rasm-e-changezi uthi tauqir-e-darai gai