ek masafat panw shal karti hui si khwab mein ek safar gahra musalsal zardi-e-mahtab mein tez hai bu-e-shagufa hae marg-e-na-gahan ghir gai khak-e-zamin jaise hisar-e-ab mein hasil-e-johd-e-musalsal mustaqil aazurdagi kaam karta hun hawa mein justuju nayab mein tang karti hai makan mein khwahish-e-sair-e-basit hai asar daim falak ka sahn ki mehrab mein ai 'munir' ab is qadar khamoshiyan ye kya hua ye sifat aai kahan se para-e-simab mein