jab kami aai zara si qahr mein aa gaya tufan sare bahr mein jangalon mein hain abhi insan kai bas rahe hain sanp kitne shahr mein qatl bhi ikhlas se khali nahin shahd shamil kar raha hai zahar mein har koi khoya hua hai zat mein mast hai gul rang-o-bu ke sehr mein ghurbaton ki dhup mein dekhega kaun chand bhi aa jae gar dopahr mein tha wo kitne panchhiyon ka ek kafil mar ke phenka gaya jo nahr mein aankh mein wo ashk le aaya 'khizar' main ne dekha bahr ko ek dahr mein