jab khandar haweli ke kan mein sada dali us ne to sadaon ki gard mujh pe la dali qafile se kya bichhde dekh raigani ab manzilon pe jaane ki soch bhi ganwa dali khauf ka jo dariya tha par kar nahin pae khwahishon ki shahzadi bas wahin baha dali tirgi ke galon par pyar se diya bosa raushni ki khwahish thi raushni bana dali dil ke is ilaqe mein gulsitan ki hajat hai phul main banata hun tu bana ke la dali bad-guman logon ko bolne pe uksaya habs ke samundar mein yani kuchh hawa dali muntazir rahe 'shahid' kuchh bhi ho nahin paya raat din ke phere mein zindagi mita dali