barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain sab usi khak ki poshak hua chahte hain yun tere shahr mein badli hai hawa-e-khush-rang jitne masum hain chaalak hua chahte hain fikr ka aab-e-rawan ab nahin rukne wala hum usi bahr ke pairak hua chahte hain sab ko rahti hai yahan shahr-e-aman ki khwahish itne haalat khatarnak hua chahte hain raushni bechne wale ye ujalon ke safir bastiyan phunk ke ghamnak hua chahte hain meri sohbat ka natija hai ki sare mazlum ek hi waqt mein bebak hua chahte hain