jab KHanjar-e-qatil se na inkar hua chup

jab khanjar-e-qatil se na inkar hua chup
aakhir mere hathon ka talabgar hua chup

shamshir-e-qalam maut ke bazar se guzra
tarikh batae kahan kirdar hua chup

ye dekh ke maidan mein pareshan hai sitamgar
maqtul nahin khanjar-e-khun-khwar hua chup

us ishq-e-haqiqi ki dua mangiye bhai
jo nok-e-sinan par na sar-e-dar hua chup

ki mimbar-e-lab se jo tabassum mein khitabat
sajde mein gire tir kaman-dar hua chup

aankhen na huin band kabhi dast-e-ajal se
ye baat alag talib-e-didar hua chup

sayyaad ko nind aae ye mumkin hi kahan tha
bedi na kabhi tauq-e-giran-bar hua chup

jab us ka sawal aa gaya tanqid ki zad mein
sakte mein ghurur aa gaya darbar hua chup

malum na thi us ko mere ashkon ki nisbat
qimat jo batai to kharidar hua chup

ashkon se kiya matam-e-mazlum sar-e-am
be-nutq bhi ho kar na azadar hua chup


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close