KHanjaron ki jahan dhaaron pe gale rakkhe the

khanjaron ki jahan dhaaron pe gale rakkhe the
zindagi ke wahan tohfe bhi saje rakkhe the

bantne nikla tha wo shakhs ujalon ki zakat
jis ke ghar ke diye maqtal mein bujhe rakkhe the

ek zalim ki himayat ka ye nikla anjam
ghar pe pahuncha to mere hath kate rakkhe the

chor khud aan ke us ghar mein bahut pachhtae
jin mein pani bhi na tha ulte ghade rakkhe the

ghar ke taqon mein the mitti ke purane bartan
un mein daulat ki jagah faqe bhare rakkhe the

hakim-e-shahr ne is jurm mein phansi de di
nam bachchon ke gharibon ne bade rakkhe the

le gae un ko amiron ke pakad kar bachche
chaar jugnu jo ujalon ke liye rakkhe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close