jab khizan aai chaman mein sab dagha dene lage tinke uda ud kar nasheman ka pata dene lage jab meri gustakhiyon ki wo saza dene lage wasl ki shab lat-ghunsa bhi maza dene lage manjh kar wo danton ko jab muskura dene lage chhoti moti sainkadon bijli gira dene lage qatl karne ke bajae ye saza dene lage khod kar gaddha mujhe zinda daba dene lage be-tahasha qabr par kisle baja dene lage meri mitti ko thikane se laga dene lage un ke ek thappad se jab main dam chura kar pad gaya aise ghabrae ki daman se hawa dene lage aap to manga karen the mere marne ki dua ab laga marne to jine ki dua dene lage kaisa aashiq aap to mujh ko samajhte hain quli har jagah hathon mein mere bistara dene lage ho gaya majbur main bhi aur dil-e-nakaam bhi wasl ki shab jab khuda ka wasta dene lage kam nahin hai torpedo se tere tir-e-nazar chhed kar dil aag sine mein laga dene lage mahramon se aap ke joban ka uqda khul gaya aap ki uthti jawani ka pata dene lage 'bum' hona chahiye bazm-e-sukhan mein wo kalam dost kya dushman sada-e-marhaba dene lage