jab khud mein kuchh mila na khad-o-khal ki tarah kuchh aaine mein dhundh liya baal ki tarah soi hui hai subh ki talwar jab talak ye shab hai jugnuon ke liye dhaal ki tarah kuchh raushni ke dagh ujale ka ek zakhm kuchh to hai shab ke dil mein zar-o-mal ki tarah tahrir kar rahi hai meri past tishnagi jhilon ko paniyon ke bichhe jal ki tarah nagin hai koi bel shajar ba-khabar nahin kenchul chadhi ho tan pe agar chhaal ki tarah phir bhi tamam dagh chhupae na chhup sake go chandni badan pe rahi shaal ki tarah bas aaine se ek mulaqat ke sabab lamhat ho gae hain mah-o-sal ki tarah tum jhuk gae 'mayank' zamane ke samne phulon se aur phalon se ladi dal ki tarah