makan mera azal se dhundhti phirti thi virani nihayat shauq se ki dil ne ranj-o-gham ki mehmani qarar us ko nahin milta singhaar us ka nahin banta mere dil se tere gesu ne sikhi hai pareshani khata-e-fash hai hum ne jafa ko kyun jafa samjha qayamat tak na jaegi hamari ye pashemani bataen kya tumhaari ek nahin se hum pe kya guzri umiden thin hazaron hae jin par phir gaya pani adu ke qaul ki tum ne hamesha pasdari ki hamari baat lekin aaj tak ek bhi nahin mani nazar aata hai aasan sab jise dushwar kahte hain tariq-e-ishq mein har ek dushwari hai aasani maza deta nahin 'hafiz' rukh-o-gesu ka nazzara misal-e-aina jab tak na ho aankhon mein hairani