jab khuda ko jahan basana tha tujh ko aisa nahin banana tha mere ghar tera aana jaana tha wo bhi ai yar kya zamana tha phir gae aap mere kuche se do qadam par gharib-khana tha jo na samjhe ki aashiqi kya hai us se be-kar dil lagana tha aae the bakht aazmane hum aap ko tegh aazmana tha ai sitamgar qabr-e-ashiq par chand aansu tujhe bahana tha tu ne rahne diya pas-e-diwar warna apna kahan thikana tha ab jahan par hai shaikh ki masjid pahle us ja sharab-khana tha dakhl ahl-e-riya na rakhte the pak-bazon ka aana jaana tha bazm mein ghair ko na bulwate aap ko jab hamein bulana tha wo chaman ab khizan-rasida hai bulbulon ka jahan tarana tha sunte hain wo shajar bhi sukh gaya jis pe sayyaad aashiyana tha dil na dete use to kya karte ai 'asar' dukh hamein uthana tha