khak atraf mein udti hai bahut pani de is masafat ko bhi ek khitta-e-barani de kuchh dinon dasht bhi aabaad hua chahta hai kuchh dinon ke liye ab shahr ko virani de ya mujhe mamlikat-e-ishq ki shahi se nawaz ya mujhe phir se wahi be-sar-o-samani de meri danai ne rakkha na kahin ka mujh ko mere maula tu mujhe phir wahi nadani de ab kahani ko bhi uljha zara afsana-taraaz shauq kuchh aur badha aankh ko hairani de