jab ki insan ki taqdir bigad jati hai jo banata hai wo tadbir bigad jati hai khat likhun un ko to tahrir bigad jati hai kuchh kahun munh se to taqrir bigad jati hai dekh kar mujh ko bal aata hai teri abru mein sakht jaan wo hun ki shamshir bigad jati hai sifat-e-ghair mujhi se hai inhin baaton par meri teri but-e-be-pir bigad jati hai bad-mizaji ki ye surat hai ki mani se bhi khinchte khinchte teri taswir bigad jati hai jab se us zulf-e-pareshan ka hai sauda sar mein meri har khwab ki tabir bigad jati hai meri taqdir hai barham to ba-waqt-e-fariyaad nala-e-ah ki tasir bigad jati hai hath rakhta hun jo main sar pe qasam khane ko aap ki zulf-e-girah-gir bigad jati hai wasl ka kar ke wo iqrar mukar jate hain hae ban ban ke ye taqdir bigad jati hai kya hua wo jo na dawat mein bhi aae 'sabir' ye to tadbir hai taqdir bigad jati hai