jalwa-farma hai jo wo rashk-e-qamar aaj ki raat misl-e-firdaus hai raushan mera ghar aaj ki raat dil-e-sozan se nikalte hain sharar aaj ki raat ho na jal-bhun ke kabab apna jigar aaj ki raat nigah-e-shokh shab-e-wasl hai dil ki dushman sine mein tir qaza ka hai guzar aaj ki raat hai mere nala-e-dil ki ye kashish ai hamdam khwab mein aae jo wo mujh ko nazar aaj ki raat be-bulae mere ghar wo shah-e-khuban aaya lashkar-e-gham pe hui mujh ko zafar aaj ki raat chashm-e-maigun ke tasawwur mein hua hun behosh din-o-duniya ki nahin mujh ko khabar aaj ki raat dil phunka jata hai sine mein lagi hai aatish hai taraqqi pe mera soz-e-jigar aaj ki raat mehman kaun yahan aaega 'sabir' ki jo hai shakl-e-chashm-e-nigaran halqa-e-dar aaj ki raat