jab ki pahlu mein hamare but-e-khud-kaam na ho girye se sham-o-sahar kyun ki hamein kaam na ho le gaya dil ka jo aaram hamare ya rab us dil-aram ko mutlaq kabhi aaram na ho jis ko samjhe lab-e-pan-khurda wo malida-misi marduman dekhiyo phuli wo kahin sham na ho aaj tashrif gulistan mein wo mai-kash laya kaf-e-nargis pe dhara kyunki bhala jam na ho kar mujhe qatl wahan ab ki na ho koi jahan ta meri jaan tu kahin khalq mein badnam na ho dekh kar kholiyo tu kakul-e-pechan ki girah ki mera tair-e-dil us ke tah-e-dam na ho bin tere ai but-e-khud-kaam ye dil ko hai khatar tere aashiq ka tamam aah kahin kaam na ho aaj har ek jo yaro nazar aata hai nidhaal apni abru ki wo khinche hue samsam na ho hai mere shokh ki baalida wo kafir aankhen jis ke hum chashm zara nargis-e-baadam na ho subh hoti hi nahin aur nahin katti raat rukh pe khole wo kahin zulf-e-siyah-fam na ho ai 'zafar' charkh pe khurshid jo yun kanpe hai jalwa-gar aaj kahin yar lab-e-baam na ho