hirasan hun siyahi mein kami hoti nahin hai charaghan kar raha hun raushni hoti nahin hai bahut chaha ki aankhen band kar ke main bhi ji lun magar mujh se basar yun zindagi hoti nahin hai lahu ka ek ek qatra pilata ja raha hun agarche khak mein paida nami hoti nahin hai darichon ko khula rakhta hun main har-waqt lekin hawa mein pahle jaisi tazgi hoti nahin hai main rishwat ke masail par namazen padh na paya badi ke sath mujh se bandagi hoti nahin hai main apne ahd ki taswir har-pal khinchta hun ghalat hai sochna ye shairi hoti nahin hai bura hai dushmani se aashna hona bhi 'alam' kisi se ab hamari dosti hoti nahin hai