jab ki sar par wabaal aata hai pech mein baal baal aata hai kab payam-e-visal aata hai khwab hai jo khayal aata hai tegh-e-irfan se ruh bismil hai haal par apne haal aata hai shal hai har chand panja-e-mizgan par kaleja nikal aata hai kya ajab ishq ho jo piri mein dudh mein bhi ubaal aata hai khub chalti hai naw kaghaz ki ghar mein qazi ke mal aata hai dher hai dil mein ab kudurat ka mitti lene kalal aata hai chal nikalti hai kashti-e-amal araq-e-infial aata hai hijr ke din yun hi guzarte hain mah jate hain sal aata hai tere aankhon ke samne sayyaad zabh hone ghazal aata hai jis ne us ki gali mein phal paya kha ke patthar nihaal aata hai sar kata kar shahid hote hain umr kho kar kamal aata hai na milega siwa muqaddar se jehl hai ja malal aata hai bahr-e-zar gul hai palla-e-mizan til ke kante pe mal aata hai 'bahr' ki sun ke aarifana ghazal shah-e-dariya ko haal aata hai