ye ishq ki galiyan jin mein hum kis kis aalam mein aae gae kahti hain ki hazrat ab kaise tum aaj yahan kyun pae gae ek shart hai yan khushbu-e-wafa yaad aae to karna yaad zara jab tum pe bharosa tha gul ka kya mahke kya mahkae gae hai ye wahi lauh-e-bab-e-junun likkha hai na puchho kya aur kyun tum lae kalid-e-jazb-e-darun aur sab manzar dikhlae gae ek takht-e-rawan-e-sher aaya kuchh shah-e-sukhan na farmaya phir taj-e-tarannum pahnaya aur ghazlon mein tulwae gae ek tab-e-rasa se kya banta ye un galiyon ka sadqa tha wo lafz aur wo uslub mile aur wo mani sajwae gae hairat se thahar jati thi yahan ye kahti hui har kahkashan jab yun mil jaana mumkin hai to phir hum kyun phailae gae duniya ke sahi andaz bahut un galiyon ke bhi hain raaz bahut jo thahre wo sar-afraaz hue jo nikle wo thukrae gae