jab kisi yaad ke mandir mein gajar bol pada ek moazzin bhi sar-e-waqt-e-sahar bol pada dekh kar mere khad-o-khal ko ek aaina kitna khamosh tabiat tha magar bol pada roz chup-chap wo raste se guzar jata hai aur main sochta rahta hun agar bol pada mere aane ki khushi thi ki taghaful ka gila ek muddat se jo khamosh tha dar bol pada phir fazaon mein sukhan gholne baadal aae phir chali tez hawa aur shajar bol pada