wahi sitara jo bujh gaya ham-safar tha mera usi ki samt ek sabz sahil pe ghar tha mera main is zamin par burida bazu sisak raha hun jo ud raha tha hawa mein wo ek par tha mera wo hath mere jinhon ne talwar saunt li thi jo khak o khun mein luthad gaya tha wo sar tha mera zamin yahan se wahan talak sabz ho rahi thi magar jo be-barg-o-bar khada tha shajar tha mera wahan ke ghar to fana ne khamosh kar diye the ajib sunsan bastiyon se guzar tha mera