jab koi zakhm mere dil pe naya lagta hai tab mujhe hausla jine ka hara lagta hai ishq ke din the ki nafrat bhi bhali lagti thi ab koi pyar se dekhe to bura lagta hai jaane kyon ab main kitaben bhi agar padhta hun in mein bhi tere hi hathon ka likha lagta hai na mila jis ko har ek gam pe dhund aaya main wo to mujh ko mere andar hi chhupa lagta hai main to is shahr mein jita hun ki 'irshad' jahan khairiyat puchhne wala bhi dara lagta hai